Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan Song Lyrics - Veer Zaara - Shah Rukh Khan, Preity Zinta, Rani Mukerji, Lata Mangeshkar, Udit Narayan

Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan Song Lyrics - Veer Zaara

Lehraati Huwi Raahein
Khole Huwe Hain Baanhein
Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan

Palkon Pe Gehre Halke
Hai Reshmi Dhundhalke Ke
Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan
Aa… Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan

Woh Dekho Zara
Parbaton Pe Ghataayein
Hamaari Daastaan
Holle Se Sunaaye

Suno Toh Zara
Ye Phoolon Ki Waadi
Hamaari, Hi Koyi, Kahani Hai Sunaati

Sapnon Ke Is Nagar Mein
Yaadon Ki Rehguzar Mein
Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan
Haan.. Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan

Jo Raahon Mein Hai
Rut Ne Sona Bikhera
Sunehra Huwa
Tera Mera Savera

Zameen So Gayi
Barf Ki Chaadaron Mein
Bas Ek, Aag Si, Jalti Hai Do Dilon Mein

Hawaayein Sansanaayein
Badan Kaanp Jaayein
Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan

Haan Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan

Ye Barsaat Bhi
Kab Thamein Kaun Jaane
Tumhein Mil Gaye
Pyaar Ke Sau Bahaane

Sitaaron Ki Hai
Jaise Baaraat Aayi

Hamaare Liye
Raat Yun Dagmagaayi

Sapne Bhi Jhilmilaayein
Dil Mein Diye Jalaayein
Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan
Haan Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan

Haan Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan

Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan Song Lyrics - Veer Zaara - Shah Rukh Khan, Preity Zinta, Rani Mukerji, Lata Mangeshkar, Udit Narayan

This Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan Song Lyrics From Veer Zaara The Song Is Sung By Lata Mangeshkar, Udit Narayan And Has Music By Madan Mohan, Sanjeev Kohli And Lyrics By Javed Akhtar Starring Shah Rukh Khan, Preity Zinta, Rani Mukerji.

Veer-Zaara Is A 2004 Indian Romantic Drama Film Directed By Yash Chopra Under The Yash Raj Films Banner. The Film Stars Shah Rukh Khan And Preity Zinta In The Leading Roles, With Rani Mukerji, Manoj Bajpayee, Kirron Kher, Divya Dutta And Anupam Kher In Supporting Roles. Veteran Actors Amitabh Bachchan And Hema Malini Make A Special Appearance In The Film. The Film's Story And Dialogues Were Written By Aditya Chopra.

Song : Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan
Movie : Veer Zaara
Singer : Lata Mangeshkar, Udit Narayan
Lyricist : Javed Akhtar
Music Director : Madan Mohan, Sanjeev Kohli
Star Cast : Shah Rukh Khan, Preity Zinta, Rani Mukerji.
Producer, Director, Story, Screenplay, Dialogues: Yash Chopra
Year : 2004


Official Poster

Comments

Sponsored Links

Sponsored Links